Online Marketing Se Paisa kaise kamaye

Make Money Online Through Online Marketing

Hello Dosto Aap Sabhi Ka Swagt Hai hamare naye post me Online Marketing se paisa kaise kamaye me

Online_Marketing_money
Online marketing free mein bhi ho sakti hai yaa fir aap paid marketing bhi kar sakte hain. Aur issey earning is tarike sey kar sakte hai ke yaa toh aap apne kisi content ya service ko promote karke apni earning ko boost karsakte hai yaa fir aap kisi client or choti moti company ke liye digital marketing karke unse apna service charge adaa karsakte hai.

Dosto Online marketing 3 Tariko Se kar Skate hai jo Main aapko Niche bata Raha Hu Details ke sath

  1. Social media marketing
  2. Email marketing
  3. ad Marketing  

 Dost Chaliye Jante hai Online Marketing kaise karte hai Or  online Marketing ke Prakar

 Social Media Marketing

Social media marketing sabse easy aur achcha tarika hosakta hai agar aap ek large fan base generate karsako apne pages yaafir profiles mein. I hope ke aap Facebook, Twitter, Pinterest, Jaise  platfor ko use kartey hi honge,

Agar aapke pass large page ya fir Profile Hai Jaise ki aapke page pe 100k + likes ho Ya Fir aapki profile me Jayda friends Ho to aap Easy se social media se earn kar sakte Hai

Aap alag alag social network platform par register karke free of cost yaani ke bina kuch bhi invest kiya apne content yaa product ke related awareness faila sakte hai even sell bhi karsakte hai.

Waise aap agar jaldi sey jaldi apne content or product ko logon tak pohchaana chahte ho toh aap social network sites par bohot hi minimum amount invest karke advertisement run kar sakte ho.


 Email Marketing

Email marketing ka agar main aapko exmample dena chaahu toh bohot hi simple hai yeh, aapne dhayaan diya hoga kayi baar aapke mail mein alag alag company yaafir agencies ke mail aatey honge, ji haan isiko kehtey hai email marketing.

Ismey aapko karna yeh hota hai ke aapko apne targeted customers ke email address collect karne hotey hai jo ke aap apne blog pey ek simple sa opt-in form set karke bhi kar sakte hai.

Aur fir un email addresses mein apne yaafir apne clients ke service aur product ko promote karke revenue generate karsakte hai aur is tarike sey aap apne content ko boost karke ya sale karke kaafi online earnings karsakte hai jiske liye normally aapko koi bhi investment nahi karni hoti hai.

Iske liye bohot hi important hai digital marketing ka knowledge hona jo ki aap seekh sakte hai agar aap mein passion ho kuch banneka kuch karneka aur ghar bethein kuch online earning karneka.

 Ad Marketing

Ad marketing ek aisa method hai jiske zariye sey aap apney budget ke mutaabik paise invest karke apne content ya product ko aap apne niche ke target customers tak online pohcha sakte hai.

Aur iske liye bohot sey agencies availble hai par main aapko recommend karunga Google Adwords ka use karke apne ads ko run karna, kyun ke google ke paas jitna user data base hai aaj ke waqt mein utna data base kisi ke paas bhi nahi,

so aap thode paise invest karke achcha khaasa earnings generate karsakte ho online wo bhi from home.

Dosto Aap ko hamara ye Post kaisa laga hame commet ke dwara Jarur Bataye or apane dosto ke sath Share karna Naa Bhule


Post a Comment

0 Comments