DropShip Bussiness kya Hai or kaam Kaise karta Hai

DropShip Bussiness
Hello Dosto Aaj ki is post me Hum baat karenge ki drop ship kya hai. or ye kaam Kaise karta hai

DropShip Bussiness Kyaa Hai 

Dropship business ka aisa tarika hai jisme product physically hamare through bikta hai lekin hamare paas store nahi hota naa hi hamare paas uski kisi tarah ki inventory hoti hai or nahi hame ship karna padta hai.

How dropshiping works in online selling
Drop ship ko samajhna thoda muskil hai lekin samajh aa gya to aapko ecommerce business start karne se koi nahi rok sakta.

Jyadatar log ecommerce business yani online selling business kyu nahi karna chahte. Waise karan to kayi hain lekin kuch main karan ye hain jaise ki Online bikri ke liye maal kaise layenge ? Store kahan karenge ? Packing or shipping yani delivery kaise karenge ?

Drop ship isi ka solution hai. Jab ham online selling karte hain to pahle hame product ( maal ) kahin se khaidna padta hai. kharidne ke baad apne ware house stock room ya spare room me rakhna padta hai or fir order placed hone par use pack karke ship karna padta hai.

Drop ship kaam Kaise karta Hai

Drop shipping me hame ye process follow nahi karna padta hai. Balki order place hone par ham vendor, (Vendor yani jisase ham maal kharidte hain), ko inform karte hai or same product ki order detail use send kar dete hain. Or fir same product Vendor khud hi pack or deliver karta hai.

Samajhte hain actually kya hota hai. Disa ko kisi birthday party me jane ke liye dress kharidna hai. Kahin se use royaladda.com ke baare me pata chalta hai. Mona royaladda.com se arya-suits ka ek designer suit book karti hai. Ab royaladda.com
actua me ek dropshipper run kar raha hai. Jiske paas khud ki koi inventory nahi hai. Wo disa
ke us order notification ko utha kar supplier arya-suits ko send karta hai. Supplier Order deliver kar deta hai.

Supplier, dropshipper or customer ke beech huyi deal ko nahi dekhta, dropshipper,  supplier dwara customer ko huyi shipping nahi dekhta or customer ko lagta hai arya-suits us online store me asaani se available hota hai. Uske is kharidari me do companies involve hain yah wo nahi dekh pati.

Infact next time Mona ko designer suit kharidna hua to use royaladda.com or arya-suits do brand yaad honge.


DripDrop Bussiness bahut eassy nahi hain Bahut hard hai bas isme Thoda dimag lagane ki jarurat hain Or aap Drip shop se bahut paisa kamane lag jaynge

DropShipping. Bussiness karne ke liye Shopify par Store kaise banye janne ke liye niche wala post padhe



Drip shopping se ralated or article padhane ke liye daily visit kare

Aapko ye hamara post kaisa laga hame comment me bataye or dosto ke sath share jarur kare 

Post a Comment

0 Comments